Rajinder Manchanda Bani

pi chuke the zahr-e-gham KHasta-jaan paDe the hum chain tha

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
pī chuke the zahr-e-ġham ḳhasta-jāñ paḌe the ham chain thā
phir kisī tamannā ne saañp kī tarah ham ko Das liyā
mere ghar tak aate hī kyuuñ judā huī tujh se kuchh batā
ek aur aahaT bhī saath saath thī tere, ai sabā
sar meñ jo bhī thā saudā uḌ gayā ḳhalāoñ meñ misl-e-gard
ham paḌe haiñ raste meñ nīm-jāñ shikasta-dil ḳhasta-pā
sab khaḌe the āñgan meñ aur mujh ko takte the, baar baar
ghar se jab maiñ niklā thā mujh ko rokne vaalā kaun thā
josh ghaTtā jaatā thā TūTte se jaate the hausle
aur sāmne 'bānī' dauḌtā sā jaatā thā rāstā
Top Urdushayar.com