Hina Ambareen Tariq

kabhi bahaaron ke mausamon mein jo dil ki basti ghazal-sara thi

Hina Ambareen Tariq

kabhī bahāroñ ke mausamoñ meñ jo dil bastī ġhazal-sarā thī

vahīñ kahīñ ek aarzū ke machalne bhī baḌī kathā thī

jalā ke jab saarī kashtiyāñ maiñ samundaroñ banī ġhizā thī

usī ghaḌī to jabīn-e-shab par likhī ga.ī merī bhī duā thī

binā sahāroñ ke ziist mushkil guzār aa.e to phir ye jaanā

ki maiñ apne hasīñ chaman zamīn-e-nam thī shajar ghanā thī

mohabbateñ bhī rifāqateñ bhī adāvateñ aur nadāmateñ bhī

mirā asāsa maiñ jāntī thī kahāñ vafā thī kahāñ jafā thī

virāsatoñ kitāb kholī to naam merā kahīñ nahīñ thā

maiñ chup thī sochā ki is meñ shāyad mire qabīle bhī razā thī

jalegā dil to dhuāñ uThegā ye aag aise nahīñ bujhegī

nagar nagar ye ḳhabar pahuñchtī magar havā ajab dishā thī

bahut pukārā thā manziloñ ne 'hinā' mujhe un rāstoñ se

magar musalsal safar thā merā kahīñ na rukne meñ baqā thī

Top Urdushayar.com