Irfana Azeez

dil par gahra naqsh hai sathi lakh teri danai ka

Irfana Azeez

Karachi, Sindh, Pakistan

1941
dil par gahrā naqsh hai sāthī laakh tirī dānā.ī kā
saat samundar bhī to na paa.eñ raaz mirī gahrā.ī kā
chashma-e-ḳhūñ meñ Duub ga.ī bārāt suhāne tāroñ kī
bojhal palkoñ par gahnā yā chāñd mirī tanhā.ī kā
jhuum rahe haiñ kaale bādal daras kī pyāsī āñkhoñ meñ
kājal ban kar phail gayā hai daaġh mirī rusvā.ī kā
kitnā hai ānand tire is dhīme dhīme lahje meñ
tere dhīraj se nikhrā hai rañg mirī ra.anā.ī kā
mere dil se pūchhe koī qadr ubharte sūraj kī
merī aañkh se dekhe koī ruup mire saudā.ī kā
sandal jaisī rañgat par qurbān sunahrī dhuup karūñ
raushan māthe par maiñ vārūñ saarā husn ḳhudā.ī kā
merā bikhrā bikhrā tan-man simaT gayā kisī chāhat se
jaan ga.ī huuñ bhed maiñ terī bāhoñ kī gīrā.ī kā
Top Urdushayar.com