nā-tavāñ  vo  huuñ  ki  dam  bhar  nahīñ  baiThā  jaatā
vo  bulāte  to  abhī  uTh  ke  maiñ  dauḌā  jaatā
but-kade  meñ  bhī  gayā  ka.aba  kī  jānib  bhī  gayā
ab  kahāñ  DhūñDhne  tujh  ko  tirā  shaidā  jaatā
kyuuñ  jī  kyuuñ  ġhair  kī  bātoñ  kā  to  dete  ho  javāb
ham  jo  kuchh  pūchheñ  to  muñh  se  nahīñ  phūTā  jaatā
yak-ba-yak  tark  na  karnā  thā  mohabbat  mujh  se
ḳhair  jis  tarah  se  aatā  thā  vo  aatā  jaatā
kah  ke  ye  Tal  ga.e  bālīñ  se  ayādat  ko  jo  aa.e
ab  tirā  hāl-e-pareshāñ  nahīñ  dekhā  jaatā
ḳhvāhish-e-dasht-navardī  kabhī  hotī  na  mujhe
bevafā  tū  mire  ghar  par  kabhī  aatā  jaatā
ḳhaak  phūlūñ-phalūñ  is  gulshan-e-vīrāñ  meñ''  'haqīr'
bāġh-e-hastī  se  ḳhizāñ  kā  nahīñ  khaTkā  jaatā