ai  yaas  jo  tū  dil  meñ  aa.ī  sab  kuchh  huā  par  kuchh  bhī  na  huā
yaañ  ho  ga.ī  ḳhāna-vīrānī  aur  terā  zarar  kuchh  bhī  na  huā
thā  qasd  ki  un  ko  rokeñgi  shab  guzrī  inhīñ  andeshoñ  meñ
par  hā.e-re  nākāmī  dil  kī  hañgām-e-sahar  kuchh  bhī  na  huā
ehsān  tirā  mujh  par  hotā  gar  ruuh  ko  kartā  tan  se  judā
jab  jaan  bachī  furqat  kī  shab  ai  dard-e-jigar  kuchh  bhī  na  huā
ai  kaash  vo  bāteñ  kī  hotīñ  jo  vahshat-e-dil  ko  kam  kartīñ
itnā  jo  bakā  to  ai  nāseh  mujh  ko  to  asar  kuchh  bhī  na  huā
ab  chāhiye  aisī  fikr  tujhe  jis  se  ki  nazāre  kī  Thahre
har  vaqt  ke  rone  se  hāsil  ai  dīda-e-tar  kuchh  bhī  na  huā
dil  aur  jigar  jaañ  aur  ye  sar  ham  shauq  se  laa.e  paas  tire
qismat  kā  gila  ab  kis  se  kareñ  manzūr-e-nazar  kuchh  bhī  na  huā
yā  us  se  javāb-e-ḳhat  laanā  yā  qāsid  itnā  kah  denā
bachne  kā  nahīñ  bīmār  tirā  irshād  agar  kuchh  bhī  na  huā
dhun  vasl  kī  tujh  par  ġhālib  hai  tū  aish-o-tarab  kā  tālib  hai
kyā  lutf  'haqīr'  is  ulfat  kā  betāb  agar  kuchh  bhī  na  huā