bahār  aa.ī  hai  sadme  se  hamārā  haal  abtar  hai
ghaTā  ghanghor  chhā.ī  hai  na  saaqī  hai  na  sāġhar  hai
nishāñ  kyā  pūchhte  haiñ  aap  ham  ḳhāna-ba-doshoñ  kā
kabhī  gulshan  meñ  maskan  hai  kabhī  sahrā  meñ  bistar  hai
haqārat  kī  nigāhoñ  se  na  farsh-e-ḳhāk  ko  dekho
amīroñ  kā  faqīroñ  kā  yahī  āḳhir  ko  bistar  hai
'haqīr'  ik  ḳhvāb  thā  jo  aap  ne  dekhā  thā  london  meñ
na  vo  sāmān  hai  baaqī  na  ab  pahlū  meñ  dilbar  hai