kis  kī  us  tak  rasā.ī  hotī  hai
haañ  magar  jis  kī  aa.ī  hotī  hai
yaar  ham  se  siyāh-baḳhtoñ  kī
zulf  tak  kab  rasā.ī  hotī  hai
ḳhuub  mil  kar  gale  se  ro  lenā
is  se  dil  kī  safā.ī  hotī  hai
Dūbtī  hai  hamārī  kashti-e-dil
aap  se  āshnā.ī  hotī  hai
shor  hai  al-firāq  kā  har  dam
ham  se  un  se  judā.ī  hotī  hai
lashkar-e-ġham  kī  kishvar-e-dil  par
raat  din  ab  chaḌhā.ī  hotī  hai
un  kī  mahfil  meñ  jaate  Dartā  huuñ
vaañ  lagā.ī-bujhā.ī  hotī  hai
us  ke  dar  par  'haqīr'  tum  bhī  chalo
vahīñ  mushkil-kushā.ī  hotī  hai