jāntā  us  ko  huuñ  davā  kī  tarah
chāhtā  us  ko  huuñ  shifā  kī  tarah
hai  dahan  ġhā.eb  aur  kamar  anqā
ḳhud  bhī  nāyāb  ho  humā  kī  tarah
chaal  ne  terī  fitna-e-mahshar
piis  Daalā  mujhe  hinā  kī  tarah
ḳhaak  chhānī  bahut  patā  na  milā
vo  hai  nāyāb  kīmiyā  kī  tarah
is  qadar  nā-tavāñ  'haqīr'  haiñ  ham
hil  nahīñ  sakte  naqsh-e-pā  kī  tarah