Tariq Naeem

ab ye hangama-e-duniya nahin dekha jata

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
ab ye hañgāma-e-duniyā nahīñ dekhā jaatā
roz apnā hī tamāshā nahīñ dekhā jaatā
sair-e-hastī meñ kahīñ aur bhī ghuum aate haiñ
ek hī shahr-e-tamannā nahīñ dekhā jaatā
ḳhunki-e-lams-e-rifāqat hī bahut hotī hai
dhuup hamdam ho to saaya nahīñ dekhā jaatā
khol dete haiñ palaT aane pe darvāza-e-dil
aane vaale kā irāda nahīñ dekhā jaatā
āsmānoñ meñ bhī ik aisī kamāñ hai jis se
koī ḳhush-rañg parinda nahīñ dekhā jaatā
apne hoñToñ pe bichhā detā huuñ ik mauj-e-sarāb
pyaas aisī hai ki dariyā nahīñ dekhā jaatā
fart-e-vahshat meñ kahīñ aur nikal aayā huuñ
ghar kā rasta hai ki sahrā nahīñ dekhā jaatā
merī jānib bhī to ruḳh kar kabhī ai shāh-e-jamāl
ā.īna mujh se ziyāda nahīñ dekhā jaatā
Top Urdushayar.com