ab  ye  hañgāma-e-duniyā  nahīñ  dekhā  jaatā
roz  apnā  hī  tamāshā  nahīñ  dekhā  jaatā
sair-e-hastī  meñ  kahīñ  aur  bhī  ghuum  aate  haiñ
ek  hī  shahr-e-tamannā  nahīñ  dekhā  jaatā
ḳhunki-e-lams-e-rifāqat  hī  bahut  hotī  hai
dhuup  hamdam  ho  to  saaya  nahīñ  dekhā  jaatā
khol  dete  haiñ  palaT  aane  pe  darvāza-e-dil
aane  vaale  kā  irāda  nahīñ  dekhā  jaatā
āsmānoñ  meñ  bhī  ik  aisī  kamāñ  hai  jis  se
koī  ḳhush-rañg  parinda  nahīñ  dekhā  jaatā
apne  hoñToñ  pe  bichhā  detā  huuñ  ik  mauj-e-sarāb
pyaas  aisī  hai  ki  dariyā  nahīñ  dekhā  jaatā
fart-e-vahshat  meñ  kahīñ  aur  nikal  aayā  huuñ
ghar  kā  rasta  hai  ki  sahrā  nahīñ  dekhā  jaatā
merī  jānib  bhī  to  ruḳh  kar  kabhī  ai  shāh-e-jamāl
ā.īna  mujh  se  ziyāda  nahīñ  dekhā  jaatā