maiñ  aa  rahā  thā  sitāroñ  pe  paañv  dharte  hue
badan  utaar  diyā  ḳhaak  se  guzarte  hue
jamāl  mujh  pe  ye  ik  din  meñ  to  nahīñ  aayā
hazār  ā.īne  TuuTe  mire  sañvarte  hue
ajab  nazar  se  charāġhoñ  kī  samt  dekhā  hai
havā  ne  zīna-e-pindār  se  utarte  hue
ik-ādh  jaam  to  pī  hī  liyā  thā  ham  ne  bhī
ḳhumār-e-ḳhāna-e-duniyā  kī  sair  karte  hue
na  jaane  kyā  dil-e-sayyād  meñ  ḳhayāl  aayā
vo  ro  diyā  thā  mire  bāl-o-par  katarte  hue
ab  āsmān  bhī  kam  paḌ  rahe  haiñ  us  ke  liye
qadam  zamīn  par  rakkhā  thā  jis  ne  Darte  hue
vahī  sitāra  sitāroñ  kā  hukmarāñ  Thahrā
laraz  rahā  thā  jo  pahlī  zaqand  bharte  hue
vo  aa.ina  thā  maiñ  tāriq-'na.īm'  TuuT  ke  bhī
hazār  aks  banātā  gayā  bikharte  hue