havā  meñ  aa.e  to  lau  bhī  na  saath  lī  ham  ne
phir  ek  umr  añdheroñ  meñ  kaaT  dī  ham  ne
diye  meñ  zor  bahut  thā  magar  na  jaane  kyuuñ
bas  ek  had  se  na  baḌhne  dī  raushnī  ham  ne
uThā  uThā  ke  tire  naaz  ai  ġham-e-duniyā
ḳhud  aap  hī  tirī  aadat  ḳharāb  kī  ham  ne
vafā  meñ  jhuuT  milāyā  diloñ  meñ  khoT  rakhā
kuchh  is  tarah  se  nibhā.ī  hai  dostī  ham  ne
duā  karo  vo  kisī  dil-jale  kī  aah  na  ho
ufuq  ke  paas  jo  dekhī  hai  aag  sī  ham  ne
ajiib  sehr  thā  dil  ke  qimār-ḳhāne  meñ
tab  uTh  ke  aa.e  ki  hastī  bhī  haar  dī  ham  ne
qafas-misāl  thī  'tāriq'-na.īm  duniyā  bhī
asiir  ho  ke  gizārī  hai  zindagī  ham  ne