aaj  kis  ḳhvāb  kī  ta.abīr  nazar  aa.ī  hai
ik  chhanaktī  huī  zanjīr  nazar  aa.ī  hai
maiñ  ne  jitne  bhī  savāloñ  meñ  use  dekhā  hai
zindagī  dard  kī  tasvīr  nazar  aa.ī  hai
ḳhud  bhī  miT  jā.ūñ  ye  duniyā  bhī  miTātā  jā.ūñ
bas  yahī  sūrat-e-ta.amīr  nazar  aa.ī  hai
raat  ro  ro  ke  gizārī  hai  charāġhoñ  kī  tarah
tab  kahīñ  harf  meñ  tāsīr  nazar  aa.ī  hai
bārish-e-hijr  ke  aane  kā  hī  imkān  na  ho
chashm-e-jānāñ  mujhe  nam-gīr  nazar  aa.ī  hai
dard  ko  aañkh  banāyā  hai  to  phir  jā  ke  kahīñ
dil  pe  likkhī  huī  tahrīr  nazar  nazar  aa.ī  hai
shaam  hotī  thī  suhānī  pa  tire  hijr  ke  ba.ad
aaj  ye  bhī  mujhe  dil-gīr  nazar  aa.ī  hai