is  raat  kisī  aur  qalam-rau  meñ  kahīñ  thā
tum  aa.e  to  maiñ  apne  badan  hī  meñ  nahīñ  thā
kyā  bazm  thī  us  bazm  meñ  kaun  aa.e  hue  the
mahtāb  bhī  sūraj  bhī  sitāra  bhī  vahīñ  thā
kuchh  niiñd  se  bojhal  thiiñ  tire  shahr  kī  āñkheñ
kuchh  merī  kahānī  meñ  bhī  vo  rabt  nahīñ  thā
kahte  haiñ  ki  ruk  sī  ga.ī  raftār-e-zamāna
jab  sair-e-samāvāt  meñ  ik  ḳhāk-nashīñ  thā
ai  kaash  zarā  der  na  tum  raah  badalte
do  chaar  qadam  aur  mirā  shahr-e-hazīñ  thā
aise  to  nahīñ  auj  pe  aayā  thā  sitamgar
vo  ḳhud  bhī  hasīñ  us  kā  sitāra  bhī  hasīñ  thā
maiñ  ḳhāl-e-ruḳh-e-yār  pe  de  detā  samarqand
lekin  vo  ilāqa  bhī  mire  paas  nahīñ  thā