dar-o-bast-e-anāsir  paara  paara  hone  vaalā  hai
jo  pahle  ho  chukā  hai  phir  dobāra  hone  vaalā  hai
gumān-e-mahr  meñ  ye  baat  hī  shāyad  nahīñ  hogī
huvaidā  ḳhaak  se  bhī  ik  sharāra  hone  vaalā  hai
kināra  kar  na  ai  duniyā  mirī  hast-e-zabūnī  se
koī  din  meñ  mirā  raushan  sitāra  hone  vaalā  hai
pighalne  jā  rahā  hai  phir  se  bahr-e-munjamid  koī
samundar  hī  samundar  kā  kināra  hone  vaalā  hai
bahut  maḳhfī  jise  rakkhā  gayā  thā  chashm-e-imkāñ  se
abhī  kuchh  din  meñ  us  kā  bhī  nazāra  hone  vaalā  hai
hamīñ  haiñ  us  kī  nīndeñ  aur  hamīñ  us  ke  nigahbāñ  haiñ
hamāre  ḳhvāb  par  kis  kā  ijāra  hone  vaalā  hai
vahī  'tāriq'-nai.īm  ab  is  qafas  ke  baab  kholegā
kisī  kī  aañkh  se  jo  ik  ishāra  hone  vaalā  hai