havā  kā  hukm  bhī  ab  ke  nazar  meñ  rakkhā  jaa.e
kisī  bhī  ruḳh  pe  darīcha  na  ghar  meñ  rakkhā  jaa.e
ye  kā.enāt  abhī  tak  mire  tavāf  meñ  hai
ajab  nahīñ  ise  yūñhī  safar  meñ  rakkhā  jaa.e
maiñ  sañg-e-sāda  huuñ  lekin  mirī  ye  hasrat  hai
makān  dost  ke  dīvār-o-dar  meñ  rakkhā  jaa.e
ye  jal-bujhegā  isī  zo.am-e-āgahī  ke  sabab
diye  ko  aur  na  bāb-e-ḳhabar  meñ  rakkhā  jaa.e
nasha  uḌaan  kā  aise  utarne  vaalā  nahīñ
kuchh  aur  vazn  mire  bāl-o-par  meñ  rakkhā  jaa.e
koī  kahīñ  na  kahīñ  ik  kamī  sī  hai  mujh  meñ
mujhe  dobāra  gul-e-kūza-gar  meñ  rakkhā  jaa.e
vo  ā.īna  hai  to  hairat  kisī  jamāl  kī  ho
jo  sañg  hai  to  kahīñ  rahguzar  meñ  rakkhā  jaa.e
vo  chāhtā  hai  ki  'tāriq'-na.īm  tujh  ko  bhī
tamām  umr  usī  ke  asar  meñ  rakkhā  jaa.e