ba-nām-e-ishq  yahī  ek  kaam  karte  haiñ
ye  zindagī  kā  safar  us  ke  naam  karte  haiñ
ajab  nahīñ  dar-o-dīvār  jaise  ho  jaa.eñ
ham  aise  log  jo  ḳhud  se  kalām  karte  haiñ
ye  māh-rū  bhī  to  hote  haiñ  āñsuoñ  kī  tarah
kisī  kī  aañkh  meñ  kab  ye  qayām  karte  haiñ
ġhazab  kī  dhuup  hai  ab  ke  safar  meñ  ham-nafaso
kisī  ke  sāya-e-gesū  meñ  shaam  karte  haiñ
tumhī  ne  saath  diyā  zindagī  kī  rāhoñ  meñ
kitāb-e-umr  tumhāre  hī  naam  karte  haiñ
kuchh  is  tarah  tirī  āñkhoñ  meñ  ashk  haiñ  jaise
shab-e-siyah  meñ  sitāre  ḳhirām  karte  haiñ
ajiib  log  haiñ  'tāriq-na.īm'  shahr  ke  bhī
ye  tīr-e-hijr  diloñ  meñ  niyām  karte  haiñ