vo  ḳhud  gayā  hai  us  kā  asar  to  nahīñ  gayā
zād-e-safar  gayā  hai  safar  to  nahīñ  gayā
mausam  hī  sirf  badlā  hai  us  ke  mizāj  kā
shāḳh-e-samar  kaTī  hai  samar  to  nahīñ  gayā
duniyā  samajh  rahī  hai  use  bevafā  magar
raste  se  uTh  gayā  hai  vo  ghar  to  nahīñ  gayā
rah  rah  ke  pūchhtī  hai  kaf-e-pā  se  chāñdnī
is  raah  se  vo  rashk-e-qamar  to  nahīñ  gayā
dasht-e-junūñ  pe  girya-e-bārāñ  thā  raat  bhar
dīvāna  terā  jaañ  se  guzar  to  nahīñ  gayā
kis  baat  se  ḳhajil  huuñ  sar-e-koh-e-tūr  maiñ
tāb-e-nazar  meñ  zauq-e-nazar  to  nahīñ  gayā
bikhre  paḌe  haiñ  farsh  pe  va.ade  na.e  na.e
ā.īna-gar  se  aa.ina  Dar  to  nahīñ  gayā
tāriq-'na.īm'  rahne  lage  ho  malūl  se
koī  tumhārā  ḳhvāb  bikhar  to  nahīñ  gayā