agar  kuchh  bhī  mire  ghar  se  dam-e-ruḳhsat  nikaltā  hai
uThā  le  jaa.e  jis  kā  jo  mirī  bābat  nikaltā  hai
ye  vīrānī  sī  yūñhī  to  nahīñ  rahtī  hai  āñkhoñ  meñ
mire  dil  hī  se  koī  jāda-e-vahshat  nikaltā  hai
ajab  hairat-sarā  hai  ye  jahān-e-tañg-dāmāñ  bhī
yahāñ  to  dil  bhī  dhaḌkan  se  dam-e-hasrat  nikaltā  hai
ḳhush-arzānī  huī  hai  is  qadar  bāzār-e-hastī  meñ
girāñ  jis  ko  samajhtā  huuñ  vo  kam-qīmat  nikaltā  hai
ik  aisī  basti-e-sūrat-garāñ  meñ  ab  ke  aayā  huuñ
mujhe  jo  dekhtā  hai  merā  ham-sūrat  nikaltā  hai