mujhe  zindagī  se  ḳhirāj  hī  nahīñ  mil  rahā
abhī  us  se  merā  mizāj  hī  nahīñ  mil  rahā
maiñ  banā  rahā  huuñ  ḳhayāl-o-ḳhvāb  kī  bandisheñ
mirī  bandishoñ  ko  rivāj  hī  nahīñ  mil  rahā
mujhe  saltanat  to  milī  huī  hai  jamāl  kī
kisī  ishq  kā  koī  taaj  hī  nahīñ  mil  rahā
mujhe  milne  aa.egā  shaam  ko  mirā  ham-suḳhan
mirā  ā.īna  mujhe  aaj  hī  nahīñ  mil  rahā
mire  chārāgar  ko  paḌī  huī  hai  ilaaj  kī
mujhe  is  kā  koī  ilaaj  hī  nahīñ  mil  rahā
mile  kārvāñ  ye  bahut  hī  duur  kī  baat  hai
abhī  kārvāñ  kā  mizāj  hī  nahīñ  mil  rahā
abhī  phir  rahā  huuñ  maiñ  āp-apnī  talāsh  meñ
abhī  mujh  se  merā  mizāj  hī  nahīñ  mil  rahā