phir  is  se  qabl  ki  bār-e-digar  banāyā  jaa.e
ye  ā.īna  hai  ise  dekh  kar  banāyā  jaa.e
maiñ  sochtā  huuñ  tire  lā-makāñ  ke  us  jānib
makān  kaisā  banegā  agar  banāyā  jaa.e
zarā  zarā  se  ka.ī  naqs  haiñ  abhī  mujh  meñ
na.e  sire  se  mujhe  gūñdh  kar  banāyā  jaa.e
zamīn  itnī  nahīñ  hai  ki  paañv  rakh  paa.eñ
dil-e-ḳharāb  kī  zid  hai  ki  ghar  banāyā  jaa.e
bahut  se  lafz  paḌe  hāshiyoñ  meñ  sochte  haiñ
kisī  tarah  se  ibārat  meñ  dar  banāyā  jaa.e
vo  jā  rahā  hai  to  jaate  hue  ko  roknā  kyā
zarā  sī  baat  ko  kyuuñ  dard-e-sar  banāyā  jaa.e
kahīñ  rukeñge  to  tāriq-'na.īm'  dekheñge
safar  meñ  kyā  koī  zād-e-safar  banāyā  jaa.e