Hafeez Merathi

ai dil KHushi ka zikr bhi karne na de mujhe

Hafeez Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1922-2000

ai dil ḳhushī zikr bhī karne na de mujhe

ġham bulandiyoñ se utarne na de mujhe

ghar ujaḌ gayā ho to lutf-e-qayām kyā

ai gardish-e-mudām Thaharne na de mujhe

maqsad ye hai sukūñ kisī sūrat na ho nasīb

ai chārasāz baat bhī karne na de mujhe

chehre pe khaal tak bhī na chhoḌeñge bad-nigāh

ai mere ḳhair-ḳhvāh sañvarne na de mujhe

hai dekhne chiiz jo bismil raqs bhī

duniyā ye chāhtī hai ki marne na de mujhe

ye daur sañg-dil nahīñ tañg-dil bhī hai

gar bas chale to aah bhī karne na de mujhe

ab bhī ye hausla hai ki kuchh kaam aa sukūñ

maiñ TuuT to gayā huuñ bikharne na de mujhe

Top Urdushayar.com