Hafeez Merathi

baDe adab se ghurur-e-sitam-garan bola

Hafeez Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1922-2000

baḌe adab se ġhurūr-e-sitam-garāñ bolā

jab inqalāb ke lahje meñ be-zabāñ bolā

takoge yūñhī havāoñ muñh bhalā kab tak

ye nā-ḳhudāoñ se ik roz bādbāñ bolā

chaman meñ sab zabāñ par thī merī mazlūmī

mire ḳhilāf jo bolā to bāġhbāñ bolā

yahī bahut hai ki zinda to ho miyāñ-sāhab

zamāna sun ke mire ġham dāstāñ bolā

hisār-e-jabr meñ zinda badan jalā.e ga.e

kisī ne dam nahīñ maarā magar dhuāñ bolā

asar huā to ye taqrīr kamāl nahīñ

mirā ḳhulūs muḳhātab thā maiñ kahāñ bolā

kahā na thā ki navāzeñge ham 'hafīz' tujhe

uḌā ke vo mire dāman dhajjiyāñ bolā

Top Urdushayar.com