Shad Azimabadi

dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927

dil apnī talab meñ sādiq thā ghabrā ke sū-e-matlūb gayā

dariyā se ye motī niklā thā dariyā meñ kar Duub gayā

ahvāl-e-javānī piirī meñ kyā arz karūñ ik qissa hai

vo tarz ga.ī vo vaz.a ga.ī andāz gayā uslūb gayā

lā-raib ḳhamoshī ne terī tāsīr dikhā mastoñ ko

be-bāk jo mai-kash thā saaqī us bazm se vo mahjūb gayā

be-rāhila-va-be-zād-e-safar rahmat pe bharosā farmā kar

jo mulk-e-adam meñ basne ko is tarah gayā vo ḳhuub gayā

bad-hāl bahut thā us par bhī ai yaar kisī ne na ḳhabar

baḌ maar ke tere kūche se āḳhir ko tirā majzūb gayā

rizvāñ ne kiyā dar ḳhuld hūreñ huiiñ sadqe aa aa kar

ġhilmāñ ne qadam chūme us ke jo terī taraf mansūb gayā

tāqat jo nahīñ ab hairat se tasvīr aalam rahtā hai

vo āḳhir-e-shab aah ga.ī vo laġhra-e-mahbūb gayā

yaañ apnī sazā bhugTī us ne rahmat nazar hogī us par

har-chand ḳhatā-kār-e-ulfat kūche se tire ma.atūb gayā

hairat hai abas ai jo in besh-bahā mansūboñ par

is tarah ke motī tab nikle jab zer-e-zamīñ maiñ Duub gayā

kyā us sabab maiñ arz karūñ kuchh vāqiye aise pesh aa.e

maiñ rotā huā aayā thā yahāñ chup yaañ se gayā mar.ūb gayā

kūche meñ tire ab 'shād' nahīñ le paak ḳhudā ne ye zamīñ

sad shukr sarā-e-fānī se āḳhir vo sag-e-ma.ayūb gayā

Top Urdushayar.com