tā-umr  āshnā  na  huā  dil  gunāh  kā
ḳhāliq  bhalā  kare  tirī  tirchhī  nigāh  kā
tanhā  mazā  uThātā  hai  dil  rasm-o-rāh  kā
biinā  to  hai  pe  bas  nahīñ  chaltā  nigāh  kā
jī  bhar  ke  dekh  luuñ  to  kar  is  jurm  par  shahīd
yuuñ  apne  sar  pe  ḳhuun  na  le  be-gunāh  kā
ronā  jo  ho  to  ro  le  bas  ai  chashm  vaqt-e-naza.a
ab  aaj  ḳhātma  bhī  hai  roz-e-siyāh  kā
pahuñchā  ke  ham  ko  qabr  meñ  jaate  haiñ  apne  ghar
lījiye  unhoñ  ne  vaada  kiyā  thā  nibāh  kā
taqdīr  hashr  se  hameñ  laa.ī  bahisht  meñ
armān  dil  meñ  rah  gayā  us  dād-ḳhvāh  kā
pā-posh  naaz  kartī  hai  un  kī  zamīn  par
chashmak-zan-e-sip.har  hai  gosha  kulāh  kā
dekhā  na  kārvāñ  ne  palaT  kar  ki  kaun  huuñ
merī  tarah  na  ho  koī  vāmāñda  raah  kā
manzil  ke  qat.a  karne  kā  mohkam  huā  jo  qasd
ik  ik  daraḳht  ḳhizr  banā  merī  raah  kā
Dho.e  kahāñ  tak  is  tan-e-ḳhākī  ko  umr  bhar
ab  ruuh  ko  mile  koī  gosha  nibāh  kā
behtar  kahīñ  the  mujh  se  vo  mai-ḳhvār  sāqiyā
hiila  jo  DhūñDte  rahe  afu-e-gunāh  kā
ashkoñ  kā  silsila  kahīñ  TuuTe  bhī  ai  firāq
thak  bhī  chuke  qadam  mirī  fariyād  o  aah  kā
ik  tujh  pe  munhasir  nahīñ  ai  ḳhizr  kar  na  naaz
har  rāh-rau  ko  taktā  hai  vāmāñda  raah  kā
rakkhā  jināñ  meñ  bhī  hameñ  maġhmūm  tā-abad
iqrār  ham  se  le  ke  hamāre  gunāh  kā
iz.hār-e-ġham  kiyā  to  ye  us  ne  diyā  javāb
chehra  gavāhī  detā  hai  jhūTe  gavāh  kā
ġhauġhā-e-hashr  dil  meñ  samātā  nahīñ  mire
hañgāma  yaad  hai  mujhe  furqat  meñ  aah  kā
bhijvā  diyā  bahisht  meñ  pūchhā  na  dil  kā  haal
kyā  ḳhuub  faisla  kiyā  is  dād-ḳhvāh  kā
kyā  jāniye  talāsh-e-asar  meñ  kahāñ  ga.ī
ab  tak  kahīñ  pata  na  lagā  merī  aah  kā
siine  meñ  apne  naala  o  shevan  kā  shor  hai
mātam  hamesha  hai  dil-e-ġhufrāñ-panāh  kā
yūsuf  ko  ai  sip.har  kueñ  meñ  girā  to  de
manzūr  imtihāñ  hai  zuleḳhā  kī  chaah  kā
kyūñkar  na  ahl-e-bazm  meñ  ai  'shād'  ho  rusūḳh
nemul-badal  huuñ  'rāsiḳh'-e-ġhufrāñ-panāh  kā