mire  dāñtoñ  kī  umr  ai  aarzū  mujh  se  bhī  chhoTī  thī
usī  ne  saath  chhoḌā  dāñt-kāTī  jin  se  roTī  thī
shikāyat  aarzū  kī  be  kiye  nāseh  nahīñ  bantī
ye  sab  dil-jūiyāñ  zāhir  kī  thī  bātin  kī  khoTī  thī
havā  dar  dar  liye  phirtī  hai  ab  to  merī  miTTī  ko
ye  hai  vo  ḳhaak  jo  ik  din  tire  qadmoñ  pe  loTī  thī
bahut  gahre  na  hoñ  ochhe  sahī  charke  to  puure  haiñ
ḳhatā  qātil  kī  kyā  hai  ik  darā  talvār  chhoTī  thī
pahāḌ  us  par  girā  ai  āsmāñ  kyā  bas  chale  varna
hamāre  āshiyāñ  kī  shāḳh  sab  shāḳhoñ  se  moTī  thī
balā  kar  tū  ne  ai  hastī  yahāñ  kī  ḳhuub  mehmānī
vahī  karte  haiñ  faaqe  jin  ke  dam  se  das  kī  roTī  thī
pahuñch  jaatī  thī  us  us  ghar  meñ  jis  jis  ghar  kā  paasā  thā
jo  sach  pūchho  to  merī  aarzū  chausar  kī  goTī  thī
na  kyuuñ  kar  terī  yaktā.ī  kā  kalima  naqsh  ho  dil  par
sabaq  kī  tarah  barsoñ  ye  ibārat  ham  ne  ghoTī  thī
mujhe  ḳhush  ḳhush  jo  paayā  jal  ke  kyā  jaldī  huī  ruḳhsat
shab-e-vasl  ai  falak  sab  kuchh  sahī  niyyat  kī  chhoTī  thī
ye  sach  hai  'shād'  kyā  thā  kuchh  na  thā  lekin  tumhārā  thā
na  samjhā  tum  ne  ai  bārīk-bīno  baat  moTī  thī