siyāhkār  siyah-rū  ḳhatā-shi.ār  aayā
tirī  janāb  meñ  terā  gunāhgār  aayā
ḳhizāñ  kā  daur  gayā  mausam-e-bahār  aayā
magar  na  is  dil-e-be-sabr  ko  qarār  aayā
kahīñ  javāb  na  tū  ne  diyā  yahāñ  ke  sivā
jahāñ  meñ  yuuñ  to  bahut  maiñ  tujhe  pukār  aayā
sarā-e-dahr  meñ  chhoḌā  tan-e-kasīf  apnā
ye  bojh  sar  se  musāfir  tirā  utaar  aayā
hamāre  nāla-e-dil  kā  na  pūchhiye  ahvāl
galī  se  yaar  kī  himmat  bhī  ab  ke  haar  aayā
paḌī  jo  qais  ke  uupar  nazar  bayābāñ  meñ
mujhe  ġharīb  ke  uupar  ġhazab  kā  pyaar  aayā
na  apne  paañv  se  aanā  milā  galī  meñ  tirī
yahāñ  bhī  chaar  ke  kāñdhoñ  pe  maiñ  savār  aayā
ye  iztirāb  hai  kyuuñ  hai  kidhar  kā  qasd  ai  ruuh
kahāñ  se  aa.ī  talab  kis  jagah  se  taar  aayā
burā  ḳhizāñ  kā  ho  dekhe  jo  sūkhe  sūkhe  hoñT
ġharīb  phuul  pe  mujh  ko  ġhazab  kā  pyaar  aayā
mirī  na  pūchh  ki  terī  galī  meñ  ḳhaak  huuñ  maiñ
tujhī  ko  merī  vafā  kā  na  e'tibār  aayā
lahad  ne  khol  ke  āġhosh  dī  jagah  jo  mujhe
lipaT  ke  rah  ga.e  ham  ko  bhī  ḳhuub  pyaar  aayā
yaqīn  jaan  le  saaqī  ki  ḳhum  kī  ḳhair  nahīñ
ḳhudā  na  karda  jo  ab  ke  mujhe  ḳhumār  aayā
mire  nasīb  kahāñ  is  tarah  ke  dīda-e-tar
sunūñ  ye  ḳhush-ḳhabarī  kaan  se  ki  yaar  aayā
nigah  ne  un  kī  jahāñ  said-e-nau  ko  taak  liyā
adā  ne  un  kī  kahā  le  nayā  shikār  aayā
tire  firāq  ke  ḳhūgar  na  mar  miTe  jab  tak
qazā  ke  aane  kā  tab  tak  na  e'tibār  aayā
dilā  palaT  gayā  qismat  kā  pahle  hī  paasā
ab  apnī  jiit  kahāñ  dil  jab  apnā  haar  aayā
jab  iḳhtiyār  chaman  par  nahīñ  to  ham  ko  kyā
hazār  baar  agar  mausam-e-bahār  aayā
shikāyat-e-dil-e-muztar  kahāñ  talak  ai  maut
duā.eñ  dūñgā  tujhe  gar  ise  qarār  aayā
javāb-e-ḳhat  kā  na  qāsid  se  mājrā  pūchho
hai  saaf  chehre  se  zāhir  ki  sharmsār  aayā
nazar  meñ  phir  ga.ī  chaal  aap  kī  javānī  kī
jo  laḌkhaḌātā  huā  koī  bāda-ḳhvār  aayā
jo  māñgte  to  hameñ  bāġhbāñ  se  kyā  miltā
ġharīb  phuul  to  dāman  ko  bhī  pasār  aayā
na  apne  nāla-e-dil  ko  milā  javāb  kahīñ
nikal  ke  dil  se  tujhe  arsh  tak  pukār  aayā
adam  meñ  'shād'  ko  kyā  valvala  ho  jannat  kā
ki  ye  ġharīb  to  hastī  se  dil  ko  maar  aayā