kyuuñ  ho  bahāna-jū  na  qazā  sar  se  paañv  tak
zālim  haiñ  aap  kī  hai  adā  sar  se  paañv  tak
sākit  haiñ  bād-e-marg  qavā  sar  se  paañv  tak
mohreñ  lagā  ga.ī  hai  qazā  sar  se  paañv  tak
ghere  thī  tujh  ko  barq-e-adā  sar  se  paañv  tak
kyuuñ  naḳhl-e-tūr  jal  na  gayā  sar  se  paañv  tak
zanjīr  ban  ga.ī  hai  qazā  sar  se  paañv  tak
goyā  rageñ  haiñ  dām-e-balā  sar  se  paañv  tak
maiñ  ḳhud  zabān-e-shukr  banā  sar  se  paañv  tak
Duube  na  kyuuñ  asar  meñ  duā  sar  se  paañv  tak
muñh  chāñd  us  pe  zulf-e-rasā  sar  se  paañv  tak
kyuuñ  loT-poT  ho  na  adā  sar  se  paañv  tak
sidq  o  safā  sikhātā  hai  nazzāra-bāz  ko
ā.īna-e-jamāl  tirā  sar  se  paañv  tak
qāsid  kahe  gayā  mirī  zardi-e-ruḳh  kā  haal
is  dāstāñ  ko  ḳhuub  rañgā  sar  se  paañv  tak
ai  sham.a  tujh  se  saaf  maiñ  kahtā  huuñ  dil  kā  haal
jalnā  hī  thā  to  jal  na  gayā  sar  se  paañv  tak
piirī  meñ  kāñpne  lage  āzā-e-jism  sab
hushyār  hil  ga.ī  ye  binā  sar  se  paañv  tak
shāyad  ḳhizāñ  sabā  kā  fasāna  sunā  ga.ī
har  naḳhl-e-bāġh  kaañp  gayā  sar  se  paañv  tak
dariyā-e-ishq  meñ  mujhe  rakhnā  na  thā  qadam
Duubā  to  ḳhuub  Duub  gayā  sar  se  paañv  tak
lī  naḳhl-e-tūr  kī  na  ḳhabar  tum  ne  ai  kalīm
tum  dekhte  rahe  vo  jalā  sar  se  paañv  tak
āġhāz  hī  meñ  aap  ne  kar  dī  zabān  band
qissa  hamārā  sun  na  liyā  sar  se  paañv  tak
phailā.eñ  yā  na  haath  ko  phailā.eñ  sharm  se
dast-e-talab  haiñ  tere  gadā  sar  se  paañv  tak
terā  kahāñ  jamāl  kahāñ  jalva-gāh-e-tūr
muusā  na  phir  na  dekh  liyā  sar  se  paañv  tak
allāh  'shād'  ġhair  kī  ye  aib-jūiyāñ
tū  ḳhud  pe  kar  nigāh  zarā  sar  se  paañv  tak