hazāroñ  ārzūeñ  saath  haiñ  is  par  akelī  hai
hamārī  ruuh  be-būjhī  huī  ab  tak  pahelī  hai
buḌhāpā  ho  to  ho  us  rabt  meñ  kyuuñ  kar  ḳhalal  aa.e
mirī  yās-o-tamanna  bachpane  se  saath  khelī  hai
ajal  bhī  Tal  ga.ī  dekhī  ga.ī  hālat  na  āñkhoñ  se
shab-e-ġham  meñ  musībat  sī  musībat  ham  ne  jhelī  hai
adam  kā  thā  safar  jab  aur  kuchh  tosha  na  haath  aayā
bahut  sī  aarzū  chalte  chalāte  saath  le  lī  hai
zarā  dekho  to  un  utre  hue  chehroñ  ko  phūloñ  ke
ma.āz-allāh  jhoñkā  hai  ḳhizāñ  kā  yā  ki  selī  hai
kabhī  jamne  na  detī  be-ḳhudī  ḳhātir  pe  naqsh  un  kā
ba-mushkil  maiñ  ne  ye  tasvīr  usī  ayyār  se  lī  hai
hamārī  aur  guloñ  kī  ek  hai  nashv-o-numā  lekin
vahāñ  muTThī  meñ  zar  hai  aur  yahāñ  ḳhālī  hathelī  hai
na  pūchho  'shād'  vīrānī  ko  dil  kī  kyā  batā.ūñ  maiñ
tamannā  jā  chukī  hasrat  ġharīb  is  meñ  akelī  hai