musībat  jis  se  zaa.il  ho  rahī  sāmān  kar  degā
na  ghabrānā  ḳhudā  sab  mushkileñ  āsān  kar  degā
ḳharābāt-e-jahāñ  meñ  kaun  hai  dil-soz  saaqī  sā
agar  tarchhaT  bhī  denā  hai  to  tujh  ko  chhān  kar  degā
qanā.at  kī  bhī  daulat  ho  to  istiġhnā  nahīñ  lāzim
jise  tū  naf.a  samjhā  hai  yahī  nuqsān  kar  degā
jagah  dil  meñ  na  de  shauq-e-numū-dārī  burī  shai  hai
yahī  chaskā  tujhe  barbād  ai  nādān  kar  degā
kahūñgā  aaj  se  maiñ  sāhib-e-ejāz  nāseh  ko
agar  mere  dil-e-muztar  kā  itmīnān  kar  degā
tamannāoñ  kī  mehmānī  tasavvur  ke  havāle  kar
ki  jo  sāmāñ  munāsib  hai  vahī  sāmān  kar  degā
matā-e-be-bahā  se  kam  na  jaan  ai  chashm  ashkoñ  ko
yahī  ronā  tirā  ḳhālī  tirī  dūkān  kar  degā
koī  gar  saltanat  bhī  de  to  vāpas  kar  na  le  ai  dil
subuk  har  tarf  tujh  ko  ġhair  kā  ehsān  kar  degā
kahe  detā  huuñ  qātil  le  ḳhabar  jāñ-bāz  kī  apne
fanā  shauq-e-shahādat  meñ  kisī  din  jaan  kar  degā
tirī  rū-poshiyāñ  ai  husn  kab  be-kār  jā.eñgī
yahī  parda  ayaañ  aalam  meñ  terī  shaan  kar  degā
yaqīñ  kar  le  ki  ḳhud  vo  jalva-gar  parde  meñ  hai  varna
yahī  zālim  gumāñ  terā  tujhe  hairān  kar  degā
ġhazal  se  kyā  murād  ai  'shād'  hai  arbāb-e-ma.anī  kī
kisī  din  tasfiya  us  kā  mirā  dīvān  kar  degā