ab  bhī  ik  umr  pe  jiine  kā  na  andāz  aayā
zindagī  chhoḌ  de  pīchhā  mirā  maiñ  baaz  aayā
muzhda  ai  ruuh  tujhe  ishq  sā  dam-sāz  aayā
nakbat-e-faqr  ga.ī  shāh-e-sar-afrāz  aayā
paas  apne  jo  nayā  koī  fusūñ-sāz  aayā
ho  rahe  us  ke  hameñ  yaad  tirā  naaz  aayā
piite  piite  tirī  ik  umr  kaTī  us  par  bhī
piine  vaale  tujhe  piine  kā  na  andāz  aayā
dil  ho  yā  ruuh  o  jigar  kaan  khaḌe  sab  ke  hue
ishq  aayā  ki  koī  mufsida-pardāz  aayā
le  rahā  hai  dar-e-mai-ḳhāna  pe  sun-gun  vaa.iz
rindo  hushyār  ki  ik  mufsida-pardāz  aayā
dil-e-majbūr  pe  is  tarah  se  pahuñchī  vo  nigāh
jaise  usfūr  pe  par  tol  ke  shahbāz  aayā
kyuuñ  hai  ḳhāmosh  dilā  kis  se  ye  sargoshī  hai
maut  aa.ī  ki  tire  vāste  hamrāz  aayā
dekh  lo  ashk-e-tavātur  ko  na  pūchho  mirā  haal
chup  raho  chup  raho  is  bazm  meñ  ġhammāz  aayā
is  ḳharābe  meñ  to  ham  donoñ  haiñ  yaksāñ  saaqī
ham  ko  piine  tujhe  dene  kā  na  andāz  aayā
naala  aatā  nahīñ  kan-ras  hai  faqat  ai  bulbul
mard-e-sayyāh  huuñ  sun  kar  tirī  āvāz  aayā
dil  jo  ghabrā.e  qafas  meñ  to  zarā  par  kholūñ
zor  itnā  bhī  na  ai  hasrat-e-parvāz  aayā
dekhiye  nāla-e-dil  jā  ke  lagā.e  kis  se
jis  kā  khaTkā  thā  vahī  mufsida-pardāz  aayā
mudda.ī  basta-zabāñ  kyuuñ  na  ho  sun  kar  mire  sher
kyā  chale  sehr  kī  jab  sāhib-e-ejāz  aayā
rind  phailā.e  haiñ  chullū  ko  takalluf  kaisā
sāqiyā  Dhaal  bhī  de  jaam  ḳhudā-sāz  aayā
na  gayā  par  na  gayā  sham.a  kā  ronā  kisī  haal
go  ki  parvāna-e-marhūm  sā  dam-sāz  aayā
ek  chupkī  meñ  gulū  tum  ne  nikāle  sab  kaam
ġhamza  aayā  na  karishma  na  tumheñ  naaz  aayā
dhyān  rah  rah  ke  udhar  kā  mujhe  dilvātā  hai
dam  na  aayā  mire  tan  meñ  koī  dam-sāz  aayā
kis  tarah  maut  ko  samjhūñ  na  hayāt-e-abadī
aap  aa.e  ki  koī  sāhib-e-ejāz  aayā
be-'anīs'  ab  chaman-e-nazm  hai  vīrāñ  ai  'shād'
haa.e  aisā  na  koī  zamzama-pardāz  aayā