ye  raat  bhayānak  hijr  kī  hai  kāTeñge  baḌe  ālām  se  ham
Talne  kī  nahīñ  ye  kaalī  balā  samjhe  hue  the  shaam  se  ham
jab  qais  pahāḌ  is  sar  se  Tale  iid  aa.ī  tab  aa.ī  jaan  meñ  jaan
tā  der  ajab  aalam  meñ  rahe  hoñToñ  ko  milā.e  jaam  se  ham
thā  maut  kā  khaTkā  jāñ-farsā  sad  shukr  ki  niklā  vo  kāñTā
gar  ho  na  qayāmat  kā  dhaḌkā  ab  to  haiñ  baḌe  ārām  se  ham
tā-manzil-e-jānāñ  saath  rahā  kam-baḳht  tasavvur  ġhairoñ  kā
shauq  apne  qadam  khīñchā  hī  kiyā  palTā  hī  kiye  har  gaam  se  ham
ulfat  ne  unhīñ  kī  haq  kī  taraf  pherā  mire  dil  ko  shukr-e-ḳhudā
tāmīr  kareñ  masjid  koī  kyūñkar  na  butoñ  ke  naam  se  ham
ai  ham-nafaso  dam  lene  do  bhūle  hue  naġhme  yaad  aa  leñ
aa.e  haiñ  chaman  meñ  uḌ  ke  abhī  chhūTe  haiñ  isī  dam  daam  se  ham
bātoñ  meñ  guzarte  hijr  ke  din  ai  kaash  ki  donoñ  mil  jaate
ham  se  hai  dil-e-nākām  ḳhafā  āzurda  dil-e-nākām  se  ham
yuuñ  un  ke  adab  yā  ḳhātir  se  har  baat  ko  le  leñ  apne  sar
jab  dil  hai  unhīñ  ke  qaabū  meñ  phir  paak  haiñ  har  ilzām  se  ham
vo  samjhe  ki  ham  ne  maar  liyā  ham  samjhe  mileñge  āḳhir  vo
milte  hī  nigah  ke  donoñ  ḳhush  āġhāz  se  vo  anjām  se  ham
duniyā  meñ  taḳhallus  koī  na  thā  kyā  niil  kā  Tiikā  'shād'  hī  thā
tum  vaj.h  na  pūchho  kuchh  is  kī  chiḌh  jaate  haiñ  kyuuñ  is  naam  se  ham