Shad Azimabadi

kis pe qabu jo tujhi pe nahin qabu apna

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927

kis pe qaabū jo tujhī pe nahīñ qaabū apnā

kis se ummīd hameñ jab na huā apnā

jām-e-mai dekh ke jaatā rahā qaabū apnā

laḌkhaḌātā huuñ pakaḌ le koī baazū apnā

nik.hat-e-gul bahut itrātī huī phirtī hai

vo kahīñ khol bhī deñ turra-e-gesū apnā

us ne phir kar bhī na dekhā ki ye hai kaun balā

ham ko thā zom ki chal jā.egā jaadū apnā

jis ko samjhe ho vahī chiiz nahīñ muddat se

ham dikhā deñge kabhī chiir ke pahlū apnā

par-e-parvāz nikalne de qafas meñ sayyād

kaam degā yahī TuuTā huā baazū apnā

mil ga.e ḳhaak meñ dar par tire itnā baiThe

is riyāzat pe bhī ab tak na huā apnā

ġham nahīñ jām-e-tilākār uThā rakh saaqī

kyā ġharaz ham ko salāmat rahe chullū apnā

chaukḌī bhuul ke muñh takte haiñ mujh vahshī ke

aake is paañv pe sar rakhte haiñ aahū apnā

kaun ai tūl-e-shab-e-ġham tirā jhagḌā rakkhe

aaj qissa kiye dete haiñ yaksū apnā

nik.hat-e-ḳhuld-e-barīñ phail ga.ī kosoñ tak

vo nahā kar jo sukhāne lage gesū apnā

lillāhil-hamd kudūrat nahīñ rahne paatī

muñh dhulā detā hai har sub.h ko aañsū apnā

shādī o ġham ke raheñge yahī ragḌe jhagḌe

qissa jis vaqt talak hogā na yaksū apnā

ġham meñ parvāna-e-marhūm ke thamte nahīñ ashk

sham.a ai sham.a zarā dekh to muñh apnā

be-adab mus.haf-e-ruḳhsār pe jhuk paḌte haiñ

rakhiye shānoñ pe zarā gher ke gesū apnā

sīna-e-tañg se ghabrā ke gayā dil to gayā

muñh dikhā.e na mujhe ab ye siyah-rū apnā

phañsne vaalā thā phañsā aa ke tirī zulfoñ meñ dil

ba-ḳhudā is meñ nahīñ jurm sar-e-mū apnā

shaam se jeb meñ ik talḳh davā rakkhī hai

aaj qissa kiye dete haiñ yaksū apnā

vahm o idrāk o ḳhayālāt o dil o ḳhvāhish-e-dil

sab to apne haiñ magar kyuuñ nahīñ qaabū apnā

'shād' samjhāte haiñ kyuuñ ġhair liyā kyā un

chashm-e-tar apnī hai jaan apnī hai aañsū apnā

Top Urdushayar.com