Shad Azimabadi

kaba bhi hai TuTa hua but-KHana hamara

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927

ka.aba bhī hai TuuTā huā but-ḳhāna hamārā

yārab rahe ābād ye vīrāna hamārā

bātin tarah paak hai ḳhum-ḳhāna hamārā

kyuuñ kar na achhūtā rahe paimāna hamārā

jo sham.a huā kartī hai raushan sar-e-bāzār

us sham.a pe girtā nahīñ parvāna hamārā

saaqī tirā mai-ḳhāna rahe hashr tak ābād

bhar jaatā hai kashkol-e-gadāyāna hamārā

bah jā.egā is bazm meñ ik faiz dariyā

aatā hai chhalaktā huā paimāna hamārā

chal sū-e-adam chal hameñ kyā uzr hai ai maut

tayyār hai sāmān-e-ġharībāna hamārā

ban jaatā hai phir shaiḳh bhī murshid-e-kāmil

Dagtā nahīñ piitā hai jo paimāna hamārā

kis zulf ko suljhā.eñ raqībān-e-siyah-kār

chhūtā nahīñ is zulf ko phir shāna hamārā

fariyād-kunāñ haiñ kisī pāzeb ke daane

toḌe kahīñ zanjīr na dīvāna hamārā

ḳhāroñ se ye kah do ki gul-e-tar se na uljheñ

sīkhe koī andāz-e-sharīfāna hamārā

tāsīr na ho 'shād' to denā hameñ ilzām

kuchh der to sun vaa.iz hakīmāna hamārā

Top Urdushayar.com