faqat  shor-e-dil-e-pur-ārzū  thā
na  apne  jism  meñ  ham  the  na  tū  thā
har  ik  ke  paañv  par  jhukte  kaTī  umr
na  samjhe  ham  ki  kis  qālib  meñ  tū  thā
jahāñ  pahuñche  usī  kā  nuur  paayā
jidhar  dekhā  vahī  ḳhurshīd-rū  thā
jagah  dāman  meñ  apne  kyuuñ  na  dete
ki  tifl-e-ashk  apnā  hī  lahū  thā
kahūñ  kyā  dil  kī  maiñ  nāzuk-mizājī
ḳhudā  baḳhshe  nihāyat  tund-ḳhū  thā
maiñ  kaifiyyat  kahūñ  kyā  bazm-e-mai  kī
ki  miinā  haath  meñ  āñkhoñ  meñ  tū  thā
ġhash  aayā  us  ne  taulī  teġh  jab  jab
ajab  halkā  hamārā  bhī  lahū  thā
bahut  DhūñDā  kahīñ  paayā  na  ham  ne
batā  de  ye  ki  kis  goshe  meñ  tū  thā
bachā  qātil  kā  dāman  lillāhil-hamd
bahut  khaulā  huā  apnā  lahū  thā
udū  the  sāqiyā  sab  mai-kade  meñ
yahī  ik  aas  thī  palle  pe  tū  thā
libās-e-kuhna  jab  thā  apnā  sad-chāk
to  phir  bekār  paivand  o  rafū  thā
ġhazab  meñ  aa  ke  tujh  ko  toḌtā  shaiḳh
natīja  bahas  kā  kyā  ai  subū  thā
tirī  tasvīr  the  ham  bhī  kisī  vaqt
yahī  naqshā  hamārā  hū-ba-hū  thā
nazar  meñ  hech  thā  kaunain  saaqī
labālab  jaam  thā  ham  the  subū  thā
sazā  laġhzish  kī  paate  bazm  meñ  ham
ḳhudā  ko  ḳhair  karnā  thā  ki  tū  thā
ham  apne  hosh  meñ  baaqī  the  har  tarah
magar  jab  tū  hamāre  rū-ba-rū  thā
tujhī  se  muñh  phulā  lete  ajab  kyā
sabā  ġhunchoñ  kā  bhī  āḳhir  numū  thā
chale  ham  baaġh  se  ai  'shād'  kis  vaqt
bahār  aane  ko  thī  gul  kā  numū  thā