Shad Azimabadi

yahi mauqa hai zamane se guzar jaane ka

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
yahī mauqa hai zamāne se guzar jaane kā
kyuuñ ajal kyā kiyā sāmāñ mire mar jaane kā
kyā kahūñ naza.a meñ maiñ apnī ḳhamoshī kā sabab
rañj hai vaqt ke be-kār guzar jaane kā
hasb-e-ma.amūl chaḌhāyā nahīñ nāseh koī jaam
ye sabab bhī hai mire muñh ke utar jaane kā
tujh se ruḳhsat hai mirī jald bas ai pīr-e-muġhāñ
muntazir huuñ faqat is jaam ke bhar jaane kā
motiyoñ kā thā ḳhazāna mirī chashm-e-tar meñ
ġham hai dil ko inhīñ dānoñ ke bikhar jaane kā
le chalī maut ba-sad-shauq hameñ saath apne
na huā jab koī sāmāñ tire ghar jaane kā
taar hoñ āñsuoñ ke aah ke harkāre hoñ
silsila koī to un tak ho ḳhabar jaane kā
nā-umīdī hameñ pahuñchātī hai pastī kī taraf
yahī ziina to hai koThe se utar jaane kā
din-ba-din paañv kī tāqat meñ kamī hone lagī
'shād' sāmāñ karo is dasht se ghar jaane kā
Top Urdushayar.com