yahī  mauqa  hai  zamāne  se  guzar  jaane  kā
kyuuñ  ajal  kyā  kiyā  sāmāñ  mire  mar  jaane  kā
kyā  kahūñ  naza.a  meñ  maiñ  apnī  ḳhamoshī  kā  sabab
rañj  hai  vaqt  ke  be-kār  guzar  jaane  kā
hasb-e-ma.amūl  chaḌhāyā  nahīñ  nāseh  koī  jaam
ye  sabab  bhī  hai  mire  muñh  ke  utar  jaane  kā
tujh  se  ruḳhsat  hai  mirī  jald  bas  ai  pīr-e-muġhāñ
muntazir  huuñ  faqat  is  jaam  ke  bhar  jaane  kā
motiyoñ  kā  thā  ḳhazāna  mirī  chashm-e-tar  meñ
ġham  hai  dil  ko  inhīñ  dānoñ  ke  bikhar  jaane  kā
le  chalī  maut  ba-sad-shauq  hameñ  saath  apne
na  huā  jab  koī  sāmāñ  tire  ghar  jaane  kā
taar  hoñ  āñsuoñ  ke  aah  ke  harkāre  hoñ
silsila  koī  to  un  tak  ho  ḳhabar  jaane  kā
nā-umīdī  hameñ  pahuñchātī  hai  pastī  kī  taraf
yahī  ziina  to  hai  koThe  se  utar  jaane  kā
din-ba-din  paañv  kī  tāqat  meñ  kamī  hone  lagī
'shād'  sāmāñ  karo  is  dasht  se  ghar  jaane  kā