kaaba  o  dair  meñ  jalva  nahīñ  yaksāñ  un  kā
jo  ye  kahte  haiñ  TaTole  koī  īmāñ  un  kā
justujū  ke  liye  niklegā  jo  ḳhvāhāñ  un  kā
ghar  batā  degā  koī  mard-e-musalmāñ  un  kā
tū  ne  dīdār  kā  jin  jin  se  kiyā  hai  vaada
haa.e  re  un  kī  ḳhushī  haa.e  re  armāñ  un  kā
apne  miTne  kā  sabab  maiñ  bhī  batā  duuñ  ai  shauq
kaash  chhū  jaa.e  mirī  ḳhaak  se  dāmāñ  un  kā
chhoḌ  kar  aa.e  haiñ  jo  sub.h-e-vatan  sī  shai  ko
martaba  kuchh  to  samajh  shām-e-ġharībāñ  un  kā
jin  kī  āġhosh-e-tasavvur  meñ  hai  vo  huur  jamāl
kahīñ  sach  ho  na  yahī  ḳhvāb-e-pareshāñ  un  kā
jo  is  uljhāo  ke  ḳhud  haiñ  mutamannī  dil  se
kyā  bigāḌegī  tirī  zulf-e-pareshāñ  un  kā
sar  meñ  saudā-e-ḳhirad  paañv  meñ  zanjīr-e-shukūk
bhed  pā.egā  na  is  shakl  se  insāñ  un  kā
ham  duā  deñ  tujhe  dil  khol  ke  ai  pahlu-e-tañg
TuuT  kar  siine  meñ  rah  jaa.e  jo  paikāñ  un  kā
chaak  karne  kā  hai  ilzām  mire  sar  nāhaq
haath  un  ke  haiñ  ham  un  ke  haiñ  garebāñ  un  kā
vo  miTā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujhe  hairat  to  ye  hai
un  ke  kahne  meñ  hai  dil  dil  meñ  hai  armāñ  un  kā
un  shahīdān-e-mohabbat  meñ  to  maiñ  saaf  kahūñ
koī  itnā  nahīñ  pakḌe  jo  garebāñ  un  kā
vahī  aise  haiñ  ki  ḳhāmosh  haiñ  sab  kī  sun  kar
sab  ko  daavā  hai  ki  huuñ  banda-e-farmāñ  un  kā
pahle  ham  nīyat-e-ḳhālis  se  vazū  to  kar  leñ
Thahar  ai  ḳhaak  Thahar  paak  hai  dāmāñ  un  kā
chāheñ  dozaḳh  meñ  utāreñ  ki  jagah  ḳhuld  meñ  deñ
daḳhl  kyā  ġhair  ko  ghar  un  ke  haiñ  mehmāñ  un  kā
kahīñ  paivand  kī  koshish  kahīñ  tadbīr-e-rafū
jāma-e-tan  se  bahut  tañg  hai  uryāñ  un  kā
kījiye  shāna  o  ā.īna  kī  hālat  pe  nigāh
sīna-sad-chāk  koī  hai  koī  hairāñ  un  kā
maan  lo  paañv  se  zanjīr  bhī  utrī  lekin
bhaag  kar  jaa.e  kahāñ  qaidi-e-zindāñ  un  kā
jin  shahīdoñ  ne  ba-sad-dard  taḌap  kar  dī  jaan
chhin  gayā  haath  se  jiitā  huā  maidāñ  un  kā
ham  to  kyā  chiiz  haiñ  jibrīl  to  jā  leñ  un  tak
rok  letā  hai  farishtoñ  ko  bhī  darbāñ  un  kā
mast  jaate  haiñ  ḳharābāt  se  masjid  kī  taraf
raah  pur-shor  hai  allāh  nigah-bāñ  un  kā
ham  shab-e-hijr  ke  jaage  na  qayāmat  meñ  uTheñ
jab  talak  ḳhvāb  se  chauñkā.e  na  armāñ  un  kā
vahm  tū  hī  ḳhalal-andāz  huā  hai  varna
kaun  juuyā  nahīñ  ai  rahzan-e-īmāñ  un  kā
din  qayāmat  kā  Dhalā  sab  ne  murādeñ  pā.īñ
rah  gayā  dekh  ke  muñh  tāba-e-farmāñ  un  kā
marne  vāloñ  kā  agar  saath  diyā  puurā  kar
le  janāza  bhī  uThā  hasrat  o  armāñ  un  kā
haq  jatāte  haiñ  shahīdān-e-mohabbat  bekār
kyā  ye  marnā  thā  baḌā  kār-e-numāyāñ  un  kā
'shād'  ghabrā  gayā  ik  umr  se  jiite  jiite
vo  bulā  leñ  mujhe  is  vaqt  to  ehsāñ  un  kā