kyā  faqat  tālib-e-dīdār  thā  muusā  terā
vahī  shaidā  thā  tirā  maiñ  nahīñ  shaidā  terā
dīda-e-shauq  se  be-vaj.h  hai  pardā  terā
kis  ne  dekhā  nahīñ  in  āñkhoñ  se  jalva  terā
ḳhud  nazākat  pe  na  kyuuñ  bojh  ho  pardā  terā
kyā  kisī  aañkh  ne  dekhā  nahīñ  jalva  terā
miT  ga.ī  shorish-e-tūfān-e-havādis  ai  mauj
ab  vahī  tū  vahī  bahtā  huā  dariyā  terā
chain  se  shahr-e-ḳhamoshāñ  meñ  har  ik  sotā  hai
aasrā  sab  ko  hai  ai  vāda-e-fardā  terā
manzilat  ek  kī  bhī  hogī  na  vaisī  ba-ḳhudā
hashr  meñ  aa.egā  jis  shaan  se  rusvā  terā
zindagī  kahtī  hai  armāñ  koī  ab  hai  na  ummīd
kab  talak  saath  karūñ  maiñ  tan-e-tanhā  terā
be-sabab  merī  ḳhamoshī  nahīñ  ai  shāhid-e-husn
dāman-e-sabr  se  Dhañktā  nahīñ  pardā  terā
yuuñ  habāboñ  kā  na  dil  toḌ  ḳhudā-rā  ai  mauj
inhīñ  qatroñ  ke  to  milne  se  hai  dariyā  terā
vahī  rañgat  vahī  ḳhushbū  vahī  nāzuk-badanī
phuul  ne  naqsh  utārā  hai  sarāpā  terā
tujh  se  milne  kā  jo  hai  shauq  to  dar  dar  na  phire
paañv  toḌe  hue  baiThā  rahe  shaidā  terā
ai  gul  aatī  hai  ḳhizāñ  baaġh  meñ  Thahrā  na  mujhe
dekhūñ  in  āñkhoñ  se  utrā  huā  chehrā  terā
kaash  zāhid  ruḳh-e-raushan  se  uThā  leñ  vo  naqāb
phir  to  kuchh  rind  kī  rindī  hai  na  taqvā  terā
apne  mai-ḳhāne  se  ghabrā  ke  maiñ  bāhar  aayā
jab  haram  se  koī  niklā  na  shanāsā  terā
us  pe  kyā  zor  bhalā  jis  pe  ho  us  kā  qaabū
chashm-e-shauq  apnī  sahī  dil  to  hai  shaidā  terā
justujū  shart  hai  mil  jā.egā  ziina  bhī  zarūr
sāmne  hai  nazar-e-shauq  ke  mukhḌā  terā
vusa.at-e-qudrat-e-haq  hogī  na  mahdūd  kabhī
nahīñ  milne  kā  sirā  zulf-e-chalīpā  terā
bazm-e-āḳhir  hai  taqāza  na  kar  ai  mahfil-e-shauq
ab  kahāñ  saaf  bhalā  sāġhar  o  sahbā  terā
'shād'  ġhazleñ  nahīñ  āyāt-e-zubūr  in  ko  samajh
lahn-e-dā.ūd  se  kuchh  kam  nahīñ  naġhmā  terā
ab  javānī  kī  umañgeñ  na  umañgoñ  kī  ḳhushī
'shād'  ko  hai  faqat  ai  mauj  sahārā  terā