kisī  ko  kyā  ḳhabar  ai  sub.h  vaqt-e-shām  kyā  hogā
ḳhudā  jaane  tire  āġhāz  kā  anjām  kyā  hogā
giraftārān-e-gesū  par  nahīñ  kuchh  munhasir  nāseh
phañsā  hai  jo  ta.alluq  meñ  use  ārām  kyā  hogā
abas  hai  zāhidoñ  ko  mai-kashī  meñ  uzr-e-nādārī
gurū  rakh  leñ  usī  ko  jāma-e-ehrām  kyā  hogā
vahī  rah  rah  ke  ghabrānā  vahī  nā-kār-gar  aaheñ
sivā  is  baat  ke  tujh  se  dil-e-nākām  kyā  hogā
use  bhī  jald  uThā  kar  tāq-e-nisyāñ  ke  havāle  kar
nahīñ  pesh-e-nazar  jab  ḳhatm  to  saaqī  jaam  kyā  hogā
yahī  TuuTe  subū  miTTī  ke  kaafī  haiñ  qanā.at  kar
bilorīñ  jām-e-mai  ai  riñd  dard-āshām  kyā  hogā
taqarrub  jin  ko  hai  un  ko  bhī  yak-gūna  hai  māyūsī
ye  hālat  hai  to  phir  dīdār  terā  aam  kyā  hogā
na  pūchho  muftiyān-e-shar.a  kā  ahvāl  jaane  do
tanaffur  kufr  ko  jis  se  ho  vo  islām  kyā  hogā
sahar  furqat  kī  hai  aur  ġhash  pe  ġhash  aate  haiñ  āshiq  ko
abhī  se  jab  ye  hālat  ho  ga.ī  tā-shām  kyā  hogā
za.īfī  meñ  tū  'shād'  allāhu-akbar  pī  gayā  ḳhum  tak
javānī  meñ  kaho  ye  riñd  mai-āshām  kyā  hogā
zamāna  'shād'  begārī  meñ  kyuuñ  āḳhir  phañsātā  hai
apāhij  kar  diyā  piirī  ne  mujh  se  kaam  kyā  hogā