Azeem Murtaza

fughan se tark-e-fughan tak hazar tishna-labi hai

Azeem Murtaza

Lahore, Punjab, Pakistan

1923-1983
fuġhāñ se tark-e-fuġhāñ tak hazār tishna-labī hai
sukūt bhī to ik andāz-e-mudda.ā-talabī hai
bahut dinoñ meñ huā ahl-e-ārzū ko mayassar
vo qurb-e-ḳhās jahāñ terī yaad be-adabī hai
ḳhayāl-e-tark-e-ta.alluq junūn-e-qat-e-marāsim
tamām sa.ī-e-talab hai tamām tishna-labī hai
sukūt-e-sho.ala-e-gul hai ki terā paikar-e-rañgīñ
vo aañch aatī hai jaise badan meñ aag dabī hai
usī ke faiz se āshob-e-āgahī hai gavārā
nigāh-e-nāz hai yā mauj-e-bāda-e-unabī hai
na jaane kis tarah tai hogā tishnagān-e-karam se
vo marhala ki jahāñ arz-e-hāl be-adabī hai
fazā to naġhma-e-gul se bhī chauñk uThī hai lekin
tirī shagufta-labī phir vahī shagufta-labī hai
Top Urdushayar.com