duniyā  kī  kashākash  meñ  phañs  kar  dil-e-ġham  se  bachānā  paḌtā  hai
murjhā.ī  huī  kaliyoñ  ko  yahāñ  hañs  hañs  ke  khilānā  paḌtā  hai
yuuñ  apnī  tamannā  muztar  hai  yuuñ  apnī  mohabbat  vīrāñ  hai
kāñTe  se  bichhe  haiñ  har  jānib  palkoñ  se  uThānā  paḌtā  hai
kyā  aalam  hai  behosh  meñ  bhī  vā  ahl-e-nazar  kī  nazreñ  haiñ
mahfil  meñ  kisī  ke  dāman  se  dāman  ko  bachānā  paḌtā  hai
jab  chāñdnī  shab  meñ  yaad  kisī  zālim  kī  nahīñ  jiine  detī
phir  rāz-e-mohabbat  ghabrā  kar  tāroñ  se  batānā  paḌtā  hai
yuuñ  dard  kī  Tīseñ  uThtī  haiñ  yuuñ  sabr  kā  dāmāñ  chhuTtā  hai
maazī  kā  fasāna  phir  dil  se  Dar  Dar  ke  bhulānā  paḌtā  hai
kis  tanz  se  vo  farmāte  haiñ  kyā  sahl  hai  ulfat  kī  manzil
yaañ  jaan  gañvānī  paḌtī  hai  yaañ  ashk  bahānā  paḌtā  hai
mañjdhār  meñ  apne  hāthoñ  se  'tasnīm'  Dubo  kar  aah  yahāñ
nākām  mohabbat  kashtī  ko  phir  paar  lagānā  paḌtā  hai