nazar  milā  ke  nazar  se  girā  diyā  tum  ne
mujhe  batāo  ḳhudārā  ye  kyā  kyā  tum  ne
mujhī  pe  vaar  kiyā  aur  mujhī  ko  bhuul  ga.e
mirī  vafā  kā  ye  achchhā  sila  diyā  tum  ne
na  apne  tarz-e-sitam  par  nigāh  kī  tum  ne
hamārī  baat  ko  itnā  baḌhā  diyā  tum  ne
tum  aa  ke  kyā  mutabassim  hue  lahad  par  mirī
charāġh-e-gor-e-ġharībāñ  jalā  diyā  tum  ne
hameñ  to  hosh  nahīñ  tum  ko  ilm  hogā  zarūr
ki  kis  qusūr  pe  dil  se  bhulā  diyā  tum  ne
kisī  ke  jaur  kā  'tasnīm'  ye  fasāna  hai
ki  jis  ko  nazm  banā  kar  sunā  diyā  tum  ne