jab  hamārī  zindagī  kā  ḳhatm  afsāna  huā
us  ghaḌī  sad-haif  un  kā  ḳhair  se  aanā  huā
aap  to  hañste  rahe  ham  ro  ke  rusvā  ho  ga.e
sham.a  to  chaltī  rahī  pāmāl  parvāna  huā
merī  barbādī  ke  charche  sun  ke  kis  kis  naaz  se
pūchhte  haiñ  muskurā  kar  kaun  dīvāna  huā
dahr  meñ  ab  muskurāne  kī  hameñ  fursat  nahīñ
dil  hujūm-e-ġham  banā  ġham  āh-e-afsāna  huā
tū  na  hotā  to  zamīn-o-āsmāñ  kuchh  bhī  na  thā
tere  qadmoñ  kī  badaulat  merā  kāshāna  huā
ai  karam-farmā  tujhe  ho  ilm  us  kā  yā  na  ho
kaun  tujh  meñ  kho  ke  aur  phir  ḳhud  se  begāna  huā
ham  hī  ik  tanhā  nahīñ  'tasnīm'  mastāne  hue
un  kī  nazreñ  kyā  uThīñ  har  riñd  mastāna  huā