zindagī  ko  ek  bahr-e-be-karāñ  paatī  huuñ  maiñ
un  ke  hāthoñ  miT  ke  umr-e-jāvedāñ  paatī  huuñ  maiñ
ḳhud-baḳhud  dil  ho  gayā  donoñ  jahāñ  se  be-niyāz
ab  zamīn-e-ishq  goyā  āsmāñ  paatī  huuñ  maiñ
chhuT-phuTe  se  dil  bujhā  rahtā  hai  terī  yaad  meñ
chāñdnī  rātoñ  meñ  ashkoñ  ko  ravāñ  paatī  huuñ  maiñ
saikḌoñ  sajde  taḌapte  haiñ  jabīn-e-shauq  meñ
ai  haqīqat  terā  naqsh-e-pā  kahāñ  paatī  huuñ  maiñ
ab  bhī  aañsū  bah  nikalte  haiñ  kisī  kī  yaad  meñ
andalīb-e-zār  ko  jab  nauha-ḳhvāñ  paatī  huuñ  maiñ
apnā  ai  'tasnīm'  is  duniyā  se  ghabrātā  hai  dil
yaañ  kī  har  shai  ko  faqat  vahm-o-gumāñ  paatī  huuñ  maiñ