vo  iztirāb  shab-e-intizār  hotā  hai
ki  māhtāb  kaleje  ke  paar  hotā  hai
fasurda  aap  na  hoñ  dekh  kar  mirā  dāmāñ
ye  bad-nasīb  yūñhī  taar  taar  hotā  hai
nahīñ  kuchh  aur  mohabbat  kī  choT  hai  hamdam
ye  dard  dil  meñ  kahīñ  baar  baar  hotā  hai
tirī  talāsh  se  ġhāfil  nahīñ  tirā  vahshī
zavāl-e-hosh  meñ  bhī  hoshiyār  hotā  hai
ho  un  kā  vāda-e-fardā  ġhalat  sahī  lekin
maiñ  kyā  karūñ  ki  mujhe  e.atibār  hotā  hai