maiñ  huā  terā  mājrā  tū  mirā  mājrā  huā
vaqt  yūñhī  guzar  gayā  vaqt  ke  ba.ad  kyā  huā
kaisā  guzishta  din  thā  jo  phir  se  guzārnā  paḌā
dhuup  bhī  thī  bachī  huī  saayā  bhī  thā  bachā  huā
sub.h  ke  saath  jaa.e  kaun  shaam  ko  le  ke  aa.e  kaun
raat  kā  ghar  basā.e  kaun  hai  koī  jāgtā  huā
ek  makāñ  meñ  kuchh  huā  baat  sunī  na  jā  sakī
log  galī  galī  se  ab  pūchh  rahe  haiñ  kyā  huā
pakḌā  gayā  thā  kyā  karūñ  shauq  thā  ye  gaḌhā  bharūñ
sub.h  tulūa  kā  huā  shaam  ġhurūb  kā  huā
sahn  meñ  chārpā.ī  par  baiThā  huā  huuñ  der  se
lamhoñ  kā  mas.ala  huuñ  aur  sadiyoñ  se  huuñ  milā  huā
aise  meñ  bhī  ajab  nahīñ  jī  sakūñ  aur  mar  sakūñ
apne  ḳharāb  o  ḳhuub  kā  hairatī  huuñ  to  kyā  huā
yuuñ  hī  to  chup  nahīñ  huuñ  maiñ  koī  to  baat  hai  zarūr
ye  jo  qazā  huā  hai  ḳhvāb  sajda  thā  jo  qazā  huā
aur  maiñ  baaqī  rah  gayā  bāteñ  banāne  ke  liye
merī  tarah  kā  ek  shaḳhs  tere  liye  fanā  huā