dekhnā  hai  kab  zamīñ  ko  ḳhālī  kar  jaatā  hai  din
is  qadar  aatā  nahīñ  hai  jis  qadar  jaatā  hai  din
muntashir  chaliye  ki  yuuñ  bāzār  bhar  jaatā  to  hai
mushtahar  kiije  ki  phir  achchhā  guzar  jaatā  hai  din
jab  zarā  radd-o-badal  hotā  hai  is  ta.amīr  meñ
bāhar  aa  jaatī  hai  raat  andar  utar  jaatā  hai  din
din  kī  apnī  mustaqil  koī  nahīñ  tārīḳh-e-dard
zaḳhm  par  jaatā  thā  aur  ab  daaġh  par  jaatā  hai  din
achchhī  gunjā.ish  nikal  aatī  hai  shaam  aur  shor  kī
jab  khanakte  ḳhālī  insānoñ  se  bhar  jaatā  hai  din
jaate  jaate  chhoḌ  jaatā  hai  mire  dil  par  lakīr
do  añdheroñ  meñ  mujhe  taqsīm  kar  jaatā  hai  din