duā  ham-zād  ho  saktī  diyā  hamrāz  ho  saktā
maiñ  vīrānī  pe  itnā  to  asar-andāz  ho  saktā
ye  merī  ḳhāmushī  is  intihā  kī  ḳhāmushī  hotī
kisī  bhī  shaam  kā  maiñ  nuqta-e-āġhāz  ho  saktā
maiñ  betābāna  un  galiyoñ  meñ  phirtā  ye  mirā  haq  thā
mirī  dastak  pe  shahr-e-ḳhvāb  kā  dar  baaz  ho  saktā
ye  din  aur  raat  kis  jānib  uḌe  jaate  haiñ  sadiyoñ  se
kahīñ  rukte  to  maiñ  bhī  shāmil-e-parvāz  ho  saktā
kam-az-kam  ḳhāk-o-ḳhūñ  kī  gum-shuda  kaḌiyāñ  hī  mil  jātīñ
sar-e-duniyā  ye  dil  itnā  to  dar-andāz  ho  saktā