kaisā  kaisā  dar  pas-e-dīvār  karnā  paḌ  gayā
ghar  ke  andar  aur  ghar  tayyār  karnā  paḌ  gayā
us  kināre  ne  kahā  kyā  kyā  kahūñ  kyā  baat  thī
baat  aisī  thī  ki  dariyā  paar  karnā  paḌ  gayā
phir  bisāt-e-ḳhvāb  uThā.ī  aur  ojhal  ho  ga.e
shaam  kā  manzar  hameñ  hamvār  karnā  paḌ  gayā
ik  zarā  sā  rāsta  māñgā  thā  vīrānī  ne  kyā
apnā  saarā  ghar  hameñ  mismār  karnā  paḌ  gayā
vo  kahānī  vaqt  kā  jis  meñ  tasavvur  hī  nahīñ
us  kahānī  meñ  hameñ  kirdār  karnā  paḌ  gayā
sarsarī  samjhā  tirī  āñkhoñ  ko  ham  ne  aur  phir
sarsarī  chīzoñ  pe  bhī  isrār  karnā  paḌ  gayā
āḳhirash  sab  ḳhvāb  us  manzil  pe  pahuñche  haiñ  jahāñ
apnī  āñkhoñ  kā  hameñ  inkār  karnā  paḌ  gayā